Doori
Kabhi kabhi sochti hoon,
in khule aasmaan mein udh ke karungi kya?
Kabhi kabhar sochti hoon,
in khule aasmaan mein udh ke karungi kya?
jab iss band kamre ki sulagti mitti hi mera basera ho...
Dar lagta hai,
iss banjare pan se jisme koi deewar nahi.
kahi hawa ka rukh badal jaye,
jaise mera mann lag na paaye.
Yeh jo azaadi ke liye
apni basati chhod ke aayi thi,
kahi wahi toh bojh na ban jaye?
Pankhon ka matlab sirf udhna nahi hota,
kabhi apni jagah dhoondhna bhi hota hai.
Par hume toh yeh bhi nahi pata
hum band kamre ki sulagti mitti hain,
ya uss aasmaan ki awaara hawa?
Comments
Post a Comment